JUNK Mail Conversation b/w Krishna & Arjuna of Mahabharata
Krishna: Apne se badon ke email ka aadar samman karna seekho, Arjun
Arjun: Main apne hi kul ke aadarniya logon ko junk email kaise bhej
sakta hoon, Vasudev ?
Krishna : Is samay yeh tumhare mitra ya shatru nahi hain paarth. Vey keval pratidvandvi hain. Islike kshatriya dharm ka paalan karo. Login karo our bhejo junk mail by the dozen - yahi tumhara kartavya hai or yahee tumhara dharma hai.
Arjun : Hai muraree ise dekh ker to lagat hai mein software industry hee chod doon.
Krishna : Vats tum mohmaya mein fans gaye hai. Is jagat mein na koi tumhara hai, na tum kisi ke ho. Ye sabhee junk mail mein hee bhejta hoon, tum to ek nimitt matra ho. tum se pahle bhee ye junk mail thee or tumhare baad bhee rahegee. Is mohmaya se ooper utho, karm karo. De-danadan junk mail bhejo.
Arjun : Kintu, iska parinam kya hoga, hey Devaki nandan ?!
Krishna : Vijay ya parajay tumhare vash mein nahi hai. Issliye parinam ke bare mien sochna band kar do. Tumhe Guru Dronacharya ne junk-shastra ki siksha dei hai (EECS101). Use nasht mat hone do... jab bhi sensible stuff increase ho jaata hai, prithvi mein mera AOL account khulta hai. Aur main karodon junk mail bhej kar sabko pareshan kar deta hoon.
Arjun : Hey Keshav, Junk mail ka system se kya connection hai ?
Krishna : Junk mail junk mail hi hai, iska hardware se koi naata nahin. Jis tarah se aatma ek sharir ko chod kar doosre mein pravesh karti hai,usi tarah se junk mail bhi system to system travel karta hai.
Arjun : Junk mail ki paribhasha kya hai ?
Krishna : Isse na agni jala sakti hai, na varun bhiga sakti hai, na hi yeh jeeta ja sakta hai na hi haara ja sakta hai. Isse bhejne wale ka swayam Mahadev bhi kuch nahi bigad sakte hain.Junk mail amar hai.
Arjun : Hey Narayan ! Abhi mere saare fande clear ho gaye hain. Yashodanandan aapne meree aankhe khol dee, nahin to mein is mohmaya mein pad ker saree junk mail khud hee padh leta.
And Arjun needless to say, sends a hoard of junk mails, killing everyone..
0 comments:
Post a Comment